Qayamat Ke Din 5 Sawal

Qayamat Ke Din 5 Sawal
Qayamat Ke Din 5 Sawal
Mafhum e Hadith Hai ki Qayamat ke Din 5 Sawal Bande se kiye Jaegey, inn Paanch (5) qayamat ke Sawal ke Jab tak banda jawab nahi dega uske qadam harkat nahi karenge. Al-Silsila-As-Sahiha ki Hadees Paak se ye baat Hindi & Urdu Aur English me Maujood hai,

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya Qayamat ke din ibn Adam ke Qadam apne RAB ke paas se us waqt tak harqat Nahi karenge jab tak ussay panch (5) sawal na Kar liye Jaye.

Qayamat ke Din ke 5 Sawal Ye Hai 

Sawal (1) Uske Umar ke mutalliq Sawal Umar kis kaam mein khatam ki.
Wazahat: Yaani ki bande ne Apni saari zindagi ko kaise guzari ? Nek kaamo me ya Gunaho me, Apne farz wagairah ki Adayagi Aur Digar jo Farz ek Momin par farz kiye gaye hai wo kaise Ada kiye, Jaisi ek momin ko zindagi jeene ka hukm hai kya vaise zindagi guzari ?,

Sawal (2) Uski jawani ke mutalliq ke kis kaam main khatam ki.
Wazahat: Jawani insaan ki Umar ka ek aisa daur (Waqt) hai, Jisme Aksar insaan ke liye gunaho se bachna bahot muskil hota hai, iss Waqt insaan par Nafsaani khwahisaat Aur Digar kuch maamlaat ki vajah se insaan gunaho ki chapet me aa jaata hai, Aur jawani ki ibadat ka sawab bhi jyada hai to iss waqt jawani me ibadat kitni ki Aur gunaho se kitna bach kar raha, iss Umar me shaitani was-wase jyada aate hai, iss liye Jawani me shaitan insaan ko jyada behkaata hai, To Jawani ko Gunaho se bach kar Nekiyo Wa Ibaadato me Guzare,

Sawal (3) Uske Maal ke mutalliq ki maal Kaha se kamaya.
Wazahat: Maal ek Aisi chij hai jiski Laalach me insaan Andha ho jaata hai, Maal ki Laalach me insaan Haram o Halaal ko bhi bhul jaata hai, iss liye Maal kaise kamaya ? Haraam ya Halaal Tarike se, ye Maal ki vajah se insaan kaafi Gunaho me mubtila ho sakta hai, iss liye Apni kamai ko Paak/Halaal rakhey, Haraam se bachey,
 
Sawal (4) Maal kaha kharch kiya.
Wazahat: Jaisa ki humne qayamat ka sawal No 3 Me Padha ki insaan ko haraam aur halaal ka khayal rakhna chahiye, Vaise hi Halaal kamai ka maal bhi ho to Uss maal ko kaha kharch kiya ? Kya Maal ko Acche kaamo me lagakar neki ki raah me kharch kiya, Ya Maal ko Fizul kharchi ya Gunaho me kharch kiya, ye bahot jaruri hai, iss liye Apne maal ko sahi jagah kharch karey. Maal agar jakaat ke jitna tha, jakaat wajib thi to kya wo Ada ki? Aur Maal ek aisi chij hai jissey insaan Sahih raah par kharch karega to ye maal faayde mand hai, Agar iss maal ko Galat jagah istemaal kiya to ye Akhirat ka khassara/Nuksaan bhi ho sakta hai, iss liye Apne maal ko Sahih jagah kharch karey,
 
Sawal (5) Aur jitna ilm tha us par kitna amal kiya.
Wazahat: Har momin par iLm sikhna farz hai, iss liye sareeat e islam me jo farz uloom hai unka sikhna to sabse Aham hai, ilm noor hai, ilm jarur hashil karna chahiye, Aur ilm jo sikha tha uss par Amal karna behad jaruri hai, Agar ilm sikh kar uss par Amal na kiya jaaye to aise ilm ki koi Ahmiyat nahi rahegi, kyu ki ilm hota hi hai Amal karne ke liye, iss liye khud ilm sikhe Aur uss ilm ko Dusro tak pahochaye (Yaani Dusro Ko Bhi Ilm Sikhaye) Aur ILM par Amal karna bhi Jaruri hai. jo ilm aap ke paas ho uss par amal jarur karey,
  • Hadith [Al-Silsila-As-Sahiha-2690]

Qayamat ke Din ke 5 Sawal in Urdu

نبی ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا  قیامت کے دن ابن آدم کے قدم اپنے رب کے پاس سے اس وقت تک حرکت نہیں کریں گے جب تک اس سے پانچ سوال نہ کر لئے جائیں ۔
اس کی عمر کے متعلق کہ کس کام میں ختم کی؟
اس کی جوانی کے متعلق کہ کس کام میں ختم کی؟ 
اس کے مال کے متعلق کہ کہاں سے کمایا؟
کہاں خرچ کیا؟
اور جتناعلم تھا اس پر کتنا عمل کیا؟
السلسلہ صحیحہ ٢٦٩٠ 

Qayamat ke Din 5 Sawal in hindi

रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया क़यामत के दिन इब्न आदम के क़दम अपने रब्ब के पास से उस वक़्त तक हरक़त नही करेंगे जब तक उससे पाँच (5) सवाल ना कर लिए जाए 
1. उसके उमर के मुताल्लिक़, उमर किस काम में ख़तम की, 
2. उसकी जवानी के मुताल्लिक़ के किस काम मैं ख़तम की, 
3. उसके माल के मुताल्लिक़ की माल कहाँ से कमाया 
4. और माल कहाँ  खर्च किया 
5. और जितना इल्म था उस पर कितना अमल किया
  • हदीस: अल-सिलसिला-सहिहा हदीस#2690

Five Questions of the day of Resurrection

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: The son of Adam will not be dismissed from before his Lord on the Day of Resurrection until he has been questioned about five things: 
  • 1. About His life , how he spent it,
  • 2. About his youth , how he used it,
  • 3. About his wealth, how he earned it
  • 4. and how he disposed of it,
  • 5. and how he acted upon what he acquired of knowledge.
  • Hadith: Al-Silsila-As-Sahiha # 2690