Nazar ki Dua Boori Nazar Se Bachne ki Dua
Nazar ki Dua |
Nazar ki dua child/baccho ke liye bhi hai, baccho aur bado par buri nazar ka asar ho tab iss Nazre bad ki dua padhne se Buri nazar ka asar dur ho jaega (In Sha Allah) ye Nazar ki dua hindi mein Aur Urdu me hai, yeh nazar ki dua Auzu Bikalimatillahi, बुरी नजर की दुआ हींन्दी mein bhi likhi gayi hai jo Padhne me sabke liye Aasaan Dua hai.
Nazar ki dua by prophet - Nazar ki dua quran o Hadees
Buri Nazar Se Bachne Ki Dua, Mafum-e-Hadees: Ibn Abbas (Razi Allahu Ta Aala Anhu) Se Riwayat Hai Ki, RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Aalehi Wasallim) Allah Se Hazrat Imaam e Hussain Wa Hazrat Imaam e Hasan (Razi Allahu Anhu) Ke Liye Panaah Talab Kiya Kartey They Aur Farmatey They Ki,
“Tumharey Buzurg Dada Ibrahim (Alaihi Salam) Bhi Ismaeel Aur Ishaq (Alaihi Salam) Ke Liye Inhi Kalamat Ke Jariye Allah Ki Panaah Maanga Kartey They.”
DUA: A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin
TARJUMA: Panaah Maangta Hu Allah Ki Purey Kalamat Ke Jariye, Har Shaitan Se Aur Har Zahreele Janwar Se Aur Har Nuqsaan Pahunchaney Waali Nazar-e-Awful Se,
Dua Against Bad Evil Eye, Black magic
HADITH: Narrated Ibn Abbas: The Prophet (ﷺ) used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan And Al-Husain and say: “Your forefather (i.e. Abraham) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac by reciting the following: O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.
📕 Sahih Al-Bukhari Hadees (3371)
Hazrat Ibn Abbas Radiallahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye
panaah talab kiya karte they aur farmate they ki tumhare buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke
liye inhi kalimat ke jariye Allah ki panaah maanga karte they.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
DUA: Aawuzu bikalimatillahit-tammah Min kulli shaytaaniw wa hammah Wamin kulli aynil Aammah
TARJUMA: Main Panaah maangta hun Allah ki pure pure kalimat ke jariye, har shaitan se aur har zahreele janwar se aur har nuksan pahunchane wali buri nazar se,
📕 Sahih Bukhari Hadees, Jild 4, 3371
Hazrat Umm Salama Radi Allahu Anha se rivayat hai ki [Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam] ne inke ghar mein ek ladki dekhi jiske chehre par kaale dhabbey (Black spot) Padh gaye they, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is par dam kara do kyunki isko nazar lag gayee hai.
📕 Hadees Sahih Bukhari, Jild 7, [5739]
Nazar ki dua in hindi - बुरी नजर की दुआ हींन्दी
हजरत इब्न अब्बास रदी अल्लाहु तआला अन्हु से रिवायत है की नबी ए करीम सलअल्लाहू अलैही व आलेही वसल्लम हजरत इमाम ए हुसैन और हजरत इमाम ए हसन रदी अल्लाहू तआला अन्हुमा के लिए पनाह तलब किया करते थे, और फरमाते थे की तुम्हारे बुज़ुर्ग दादा (हजरत इब्राहिम अलैही सलाम) भी हजरत इस्माईल और हजरत ईशहाक (अलैही सलाम) के लिए इन्ही कालीमात के ज़रिए अल्लाह की पनाह माँगा करते थे.
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ
दुआ: आऊज़ु बिकालिमातिल्लाहीत ताम्माह वा मीन कुल्ली शयतानीव वा हाम्माह वा मीन कुल्ली अयनील आम्माह.
तरजुमा: मैं पनाह माँगता हूँ अल्लाह की पूरे पूरे कलिमात के ज़रिए, हर शैतान से और हर ज़हरीले जानवर से और हर नुकसान पहुँचने वाली बुरी नज़र से,
📕 हदीस सही बुखारी, जिल्द 4, [3371]
हजरत उम्म सलमा रदी अल्लाहू तआला अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही व आलेही वसल्लम ने इनके घर में एक लड़की देखी जिसके चेहरे पर काले धब्बे पढ़ गये थे, आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया इस पर दम करा दो क्यूंकी इसको नज़र लग गयी है.
📕 हदीस सही बुखारी, जिल्द 7, [5739]
0 Comments
Please do not enter any spam link in the comment box.
Emoji