Azan Ke Baad Ki Dua - Dua After Adhan

Iss Post me Azan ke baad ki dua Urdu And Hindi me hai, dua after adhan in english read in this post Sahih bukhari hadees dua after azan, Azan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki shafaat milegi,
Azan Ke Baad Ki Dua - Dua After Adhan
Azan Ke Baad Ki Dua - Dua After Adhan
Hazrat Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah-Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne irshaad farmaya ki jo shakhsh Azan sunkar ye kahe (Yaani Azan ke baad iss "DUA" ko padhey)

Azan ke baad ki Dua in Urdu

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،
آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ

"Allahumma Rabba hazihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, waba'ashu maqaman mahmudan-Al-lazi waadtah"

Usey Qayamat ke din meri shafaat milegi

Tarjumh: Aey mere Allah jo is saari pukar ka RABB hai, aur Qayam rahne wali namaz ka bhi RABB hai, Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela (Sabse Aala Maqam) Ata farma, Aur Maqam e Mahmood par unko qaayam farma, jiska tuney un se wada kiya hai,
  • Hadees Sahih Bukhari, Vol 1, 614

Azan ke baad ki dua in hindi - (हींन्दी अजा़न के बाद की दुआ)

हजरत जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी-अल्लाहू-अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया की जो शख्स अज़ान  सुनकर ये कहे,

"अल्लाहुम्मा रब्बा हाज़िही  अद- दावातित ताम्मा वस सलातील क़ाईमा , आती मुहम्मदन  अल-वसिलता व अल-फ़ज़ीला , व  बाअसहु मकामन  महमुदन अल लज़ी  वाअदताह"

उसे क़यामत के दिन मेरी शफात मिलेगी

तर्जुमा: एह मेरे अल्लाह जो इस सारी पुकार का रब है, और क़ायम रहने वाली नमाज़ का भी रब है, रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम को क़यामत के दिन वसीला (सबसे आला मुकाम) अता फरमा और मक़ाम ए महमूद पर उनको क़ायम फरमा जिसका तूने उनसे वादा किया है,
  • सहीह बुखारी हदीस, जिल्द 1 , 614 

Dua After Adhan in english

Narrated Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, Whoever after listening to the Adhan says,

"Allahumma Rabba hazihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, waba'ashu maqaman mahmudan-Al-lazi waadtah"

then intercession for me will be permitted for him on the Day of Resurrection.

Dua Translation: O Allah! Lord of this perfect call and of the regular prayer which is going to be established! Kindly give Muhammad the right of intercession and superiority and send him to the best and the highest place in Paradise which You promised him,